शनिवार, दिसंबर 12, 2015

Slim Body Tips in Hindi ke Jaiye Paiye ek Attractive Personality






Slim Body tips
Apnaiye Fitness Routine
Slim Body Tips in Hindi  ki baat kare to fitness routine ka naam sabse pahle aata hai. Ek fitness routine apniye aur use har 4 week ke baad badlte jaye.  Lekin dhyan rahe ki, yeh routine kisi expert ki salah ke saath hi kare. Jisse aap ek hi tarah ke workoutki aadat na hone se aapki body jaldi slim ho jayegi. Saath hi ek acche expert ko ptaa hota hai ki workup kese kare aur relaxed kese kare. Slim body ko pane ke liye aapko expert ki salah jarur leni chahiye.

Beginners ke Liye
Beginners ko pahle 30 minutes ke workout se shuruvaat karni chahiye. Aur iske baad dheere-dheer 40 se 45 minutes tak workout ko badha dena chahiye, yeh acchi exercise hai ke liye. Khali bethe kar TV dekhane ki jagah par aapko working karni chahiye.
Subah Jogging Par Jaye
Subah subah jogging ya fir park mai brisk walking karne ke liye nikal jaye, jisse aapke pairo , jango aur hips ko  toning karne mai madad mil sakti hai. Iske alawa aap treadmill par bhi tezi se wok kar sakti hai.
Ghar ki Saaf Safaai
Khud ghar ki mahnat se saaf safaai kare, cycling ya fir ghar ke kutte ko bahr walk karvane le kar jaye. Isse aapka pet jaldi kam hona shuru ho jayenge. Iske alawa aap salsa, dancing, aerobics aadi ek behtar cardio exercise kar sakte hai. Jisse aapka khub paseena bahega aur aap body shape mai aa jayegi.
Kickboxing ya Rassi Kudna
Kickboxing ya skipping se aap apne bhujao aur haatho ki maspeshiyo ka fats kam kar sakte hai.Iske saath kuch pushups aur crunches bhi jaruri hai. Isse aapka pet bhi kam hoga aur aap slim bhi bhi najar aayenge.
Thigh Par Dhyan de
Sexy legs aur thigh ke bina aapki body adhuri mani jati hai.  Apne thigh ko shape mai lane ke liye kuch hips, exercise, legs press aur legs curl kare. Agar aapke liye gym jana sambhav nahi to running, hiking aur summing kare. Isse bhi aapko bahut fayda milega.
Slim Body

Slim Body Tips ke liye Diet Par Khas Dhyan De

Agar aap gym mai 2 ghante bitati hai aur bhar aakar junk food khati hai, to fir aap acche result ki ummid na kare. Ek accha sharir pane ke sirf exercise karne se kuch nahi hota hai. Iske liye aapko khanpan ka bhi dhyan rakhna chaiye. Behtar hoga ki junk food ki aadat mai sudhar laye. Saath hi apni jivanshaily ko bhi sudhare.
To hum bol sakte hai ki Slim Body Tips mai ek sahi diet ka hona bahut jaruri hota hai. Jisse aapko ashi aahar ke dwara ek accha sharir milega. Lekin dhyan rahe ki diet aur workout dono hi mukhaye hisse hota hai aapke personality ke liye.
  • Agar aap Vajan Kam karna chahte to rozana 2 cup green tea jarur pijiye. Isse aapko bahut fayda milaega. Saath hi aapka vajan bhi bahut kam ho jayega.
  • Apne aahar mai kuch badlav laiye jese chana dal, badam sup, veg fruit salad, masaala oats aadi jese cheezo ka sevan kijiye.
  • Saath hi apne aahar mai sabjiya ka sevan kare. Isme vitamin, protein, minerals aadi ki bharpur matra hoti hai.
  • Aapke slim body ke liye sabse jayda jaruri hai aapke aahar mai protein ki matra honi chahiye . Kay aap jante hai ki protein aapke sharir se fats ko khatam karta hai. Iske liye protein rich food ka sevan jarur kijiye.
  • Ek sabse jaruri baat hai ki, apne aahar ko apne blood group ke according hi lijiye. Kyoki agra aap jaldi vajan kam karna chahte hai. To kisi expert ki salah se ek diet chart lijiye. Jisme vah khadya padarth shamil hona chahiye, jo aapko blood group ke hisab se sahi ho.
  • Daliya ka sevan jaruri kijiye. America ke research mai yeh baat samne aai hai ki, daliya khane se lambe samay tak pet bhar rahta hai. Bhuk kam lagti hai. Isliye agar aap apne subah ke nashte mai calorie yukt daliya ka sevan karenge to aapko bahut accha ahsaa hota hai.
  • Aahar ko proper time par lijiye. Jyada der tak bhuke na rahiye. Kyoki aisa karne se aapke sharir ka metabolism bigad jata hai. Jo ki aapke motapa ka ek karan hota hai.
  • Saath hi ayurvedic supplement ka sahar lijiye. Isse aapko koi side effect bhi nahi hoga aur aapki body attractive dikai degi.
  • Apne niyamit aahar mai ucch fiber yukt anaaj milaiye jese vibhinn prakaar ki dale aadi lijiye.
  • Sabjiya ka sevan adhik kare. Sabjiya fiber ka aacha sources hai. Example ke liye muli, patte dar gobhi aadi aate hai.
  • Saath apne aahar mai carbohydrate ki matra ko kam kijiye.
Upar aapne jane  Slim Body Tips in Hindi. To bas der kis baat ki aaj se hi inn tariko ke dwara apne sharir ko accha aakar dijiye aur ek attractive personality paiye.






कोई टिप्पणी नहीं: